Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain, Urdu Ghazal By Akhtar Azad

Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Azad. Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

اب حسن و عشق کے بھی قصے بدل گئے ہیں

اختر آزاد

اب حسن و عشق کے بھی قصے بدل گئے ہیں

منزل تھی ایک لیکن رستے بدل گئے ہیں

کس پر یقین کیجے یہ دور مطلبی ہے

لگتا ہے خون کے بھی رشتے بدل گئے ہیں

آنکھیں بتا رہی ہیں ظاہر ہے حال دل کا

وہ بے وفا نہیں تھے کتنے بدل گئے ہیں

ہم جانتے ہیں پھر بھی پہچاننا ہے مشکل

کچھ دوستوں کے اتنے چہرے بدل گئے ہیں

ان کو پتہ تھا شاید اک دن لگے گی ٹھوکر

اچھا ہے وقت سے وہ پہلے بدل گئے ہیں

جب سے ملی ہے دولت آداب بھول بیٹھے

اب بات چیت کے بھی لہجے بدل گئے ہیں

ہے وقت کا تقاضہ چپ چاپ گھر میں رہئے

چاہت وفا محبت جذبے بدل گئے ہیں

معصومیت کہیں پر گم ہو گئی ہے اخترؔ

لگتا ہے شہر جا کر بچے بدل گئے ہیں

اختر آزاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain

Akhtar Azad

ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gae hain
manzil thi ek lekin raste badal gae hain

kis par yaqin kije ye daur matlabi hai
lagta hai KHun ke bhi rishte badal gae hain

aankhen bata rahi hain zahir hai haal dil ka
wo bewafa nahin the kitne badal gae hain

hum jaante hain phir bhi pahchanna hai mushkil
kuchh doston ke itne chehre badal gae hain

un ko pata tha shayad ek din lagegi Thokar
achchha hai waqt se wo pahle badal gae hain

jab se mili hai daulat aadab bhul baiThe
ab baat-chit ke bhi lahje badal gae hain

hai waqt ka taqaza chup-chap ghar mein rahiye
chahat wafa mohabbat jazbe badal gae hain

masumiyat kahin par gum ho gai hai 'aKHtar'
lagta hai shahr ja kar bachche badal gae hain

(811) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Akhtar Azad Poetry

ہنس ہنس کر آنسو پی جانا آپ کے بس کی بات نہیں

Akhtar Azad - اختر آزاد

Hans Hans Kar Aansu Pi Jaana Aap Ke Bas Ki Baat Nahin

جس کے دل میں کوئی ارمان نہیں ہوتا ہے

Akhtar Azad - اختر آزاد

Jis Ke Dil Mein Koi Arman Nahin Hota Hai

چلنے کا ہنر کب آتا ہے جب تک کوئی ٹھوکر کھاؤ نہیں

Akhtar Azad - اختر آزاد

Chalne Ka Hunar Kab Aata Hai Jab Tak Koi Thokar Khao Nahin

حال دل سنانے میں عمر بیت جاتی ہے

Akhtar Azad - اختر آزاد

Haal-e-dil Sunane Mein Umr Bit Jati Hai

بند ہونٹوں سے بھی اظہار تمنا کرتے

Akhtar Azad - اختر آزاد

Band Honton Se Bhi Izhaar-e-tamanna Karte

جو سکوں نہ راس آیا تو میں غم میں ڈھل رہا ہوں

Akhtar Azad - اختر آزاد

Jo Sakun Na Ras Aaya To Main Gham Mein Dhal Raha Hun

شوق اظہار ہے کرنا بھی نہیں چاہتے ہیں

Akhtar Azad - اختر آزاد

Shauq-e-izhaar Hai Karna Bhi Nahin Chahte Hain

کیا حسیں رات ہے اس رات سے ڈرتے کیوں ہو

Akhtar Azad - اختر آزاد

Kya Hasin Raat Hai Is Raat Se Darte Kyun Ho

You can read Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain written by Akhtar Azad at UrduPoint. Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain is one of the masterpieces written by Akhtar Azad. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Azad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Azad' above.

Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Husn-o-ishq Ke Bhi Qisse Badal Gae Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.