Har Raat Ka KHwab, Urdu Nazam By Sahba Akhtar

Har Raat Ka KHwab is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sahba Akhtar. Har Raat Ka KHwab comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Har Raat Ka KHwab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

ہر رات کا خواب

صہبا اختر

میں ہمیشہ کی طرح تنہائی کی باہوں میں باہیں ڈال کر

رات بھی ساحل پہ تھا محو خرام

رات بھی اپنے ہی سائے کی نگاہوں میں نگاہیں ڈال کر

میں خود اپنے آپ سے تھا ہم کلام

دم بدم دامن کشاں تھا رات بھی گہرے سمندر کا فسوں

کھنچ رہی تھیں رات کی نیلی رگیں

رات بھی جب بڑھ رہا تھا تیز وحشت خیز موجوں کا جنوں

میرا سایہ کہہ رہا تھا آ چلیں

ناگہاں ٹوٹا دھوئیں کا آبشار

دیکھتے ہی دیکھتے بجلی گری اک زور کا کوندا ہوا

میں بھنور جیسے سفینے پر سوار

بادباں جس کی ہوائیں بجلیاں مستول طوفاں ناخدا

تک رہا تھا ہر طرف دیوانہ وار

رات بھی میں خوف کی شدت میں اپنے سائے سے لپٹا ہوا

رات بھی پلکوں پہ روشن تھا لہو

رات بھی جاری و ساری تھا رگوں میں بجلیوں کا ارتعاش

رات بھی حیراں تھی چشم جستجو

رات بھی دیکھی ہے میں نے اپنے اک ہم شکل کی موجوں میں لاش

اس کی پتھرائی ہوئی آنکھوں سے دور

رات بھی میں بزدلی سے بھاگ آیا اس کو تنہا چھوڑ کر

بار شب سے آج بھی شانے ہیں چور

آج بھی اٹھا ہوں جیسے روح کا تاریک گھیرا توڑ کر

صہبا اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Raat Ka KHwab

Sahba Akhtar

main hamesha ki tarah tanhai ki bahon mein bahen Dal kar
raat bhi sahil pe tha mahw-e-KHiram
raat bhi apne hi sae ki nigahon mein nigahen Dal kar
main KHud apne-ap se tha ham-kalam

dam-ba-dam daman-kashan tha raat bhi gahre samundar ka fusun
khinch rahi thin raat ki nili ragen
raat bhi jab baDh raha tha tez wahshat-KHez maujon ka junun
mera saya kah raha tha aa chalen
na-gahan TuTa dhuen ka aabshaar
dekhte hi dekhte bijli giri ek zor ka kaunda hua
mein bhanwar jaise safine par sawar
baadban jis ki hawaen bijliyan mastul tufan naKHuda
tak raha tha har taraf diwana-war
raat bhi main KHauf ki shiddat mein apne sae se lipTa hua

raat bhi palkon pe raushan tha lahu
raat bhi jari-o-sari tha ragon mein bijliyon ka irtiash
raat bhi hairan thi chashm-e-justuju
raat bhi dekhi hai main ne apne ek ham-shakl ki maujon mein lash

us ki pathrai hui aankhon se dur
raat bhi main buz-dili se bhag aaya us ko tanha chhoD kar
bar-e-shab se aaj bhi shane hain chur
aaj bhi uTTha hun jaise ruh ka tarik ghera toD kar

(532) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sahba Akhtar Poetry

اصنام مال و زر کی پرستش سکھا گئی

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Asnam-e-mal-o-zar Ki Parastish Sikha Gai

ہم اپنے بخت سیہ کے اثر میں رہتے ہیں

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Hum Apne Bakht-e-siyah Ke Asar Mein Rahte Hain

مجھے ملا وہ بہاروں کی سر خوشی کے ساتھ

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Mujhe Mila Wo Bahaaron Ki Sarkhushi Ke Sath

کل جہاں اک آئینہ ہے حسن کی تحریر کا

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Kul Jahan Ek Aaina Hai Husn Ki Tahrir Ka

ملے ہیں پیار کے لمحے تو ان میں کھو جائیں

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Mile Hain Pyar Ke Lamhe To Un Mein Kho Jaen

آ جا اندھیری راتیں تنہا بتا چکا ہوں

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Aa Ja Andheri Raaten Tanha Bita Chuka Hun

دل کے اجڑے نگر کو کر آباد

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Dil Ke Ujde Nagar Ko Kar Aabaad

اگر شعور نہ ہو تو بہشت ہے دنیا (ردیف .. ھ)

Sahba Akhtar - صہبا اختر

Agar Shuur Na Ho To Bahisht Hai Duniya

You can read Har Raat Ka KHwab written by Sahba Akhtar at UrduPoint. Har Raat Ka KHwab is one of the masterpieces written by Sahba Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Sahba Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sahba Akhtar' above.

Har Raat Ka KHwab is a widely read Urdu Nazam. If you like Har Raat Ka KHwab, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.