Ye Kaise Log Hain, Urdu Nazam By Mohammad Anvar Khalid

Ye Kaise Log Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Anvar Khalid. Ye Kaise Log Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ye Kaise Log Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

یہ کیسے لوگ ہیں

محمد انور خالد

یہ کیسے لوگ ہیں جو سنگ بستہ جالیوں کی طرح آنکھیں بند رکھتے ہیں

سرہانے لڑکیوں کے رات کی بکھری کتابیں ہیں

اور ان کے خواب اندھیروں کے درکتے روزنوں سے

دھڑدھڑاتی بلیوں کی طرح گھر گھر پھیل جاتے ہیں

میں ساری رات آوازوں کا مبہم شور سنتا ہوں

اور آنکھیں بند رکھتا ہوں

اور ان کے ساتھ ہو لیتا ہوں جن کا راستہ میرا مقدر ہے

سو اب میری گواہی کون دے گا

کہ میں اپنی گواہی کے لیے زندہ نہیں ہوں

وہ ایسے لوگ تھے جو

دشت بے دیوار میں اپنے سفر کا نیند سے آغاز کرتے تھے

اور ان کی انگلیاں صحرائی سانپوں کی طرح ان کے بدن پر رینگتی تھیں

اور ان کی گردنیں ٹوٹی کمانوں کی طرح ان کے بدن پر جھولتی تھیں

وہ اپنی پٹ کھلی آنکھوں سے سوتے تھے

وہ چلتے تھے تو ان کی آستینیں پاؤں میں آتی تھیں

اور وہ رک کے چلتے تھے

درختوں میں کہیں بیٹھا روپہلی رت کا کارندہ

سمندر سمت کا قطبی ستارہ ہے

سمندر میری آنکھوں کا اشارہ ہے

اسے کہنا وہ میری میز پر اپنی ہتھیلی یوں جمائے مجھ کو مت دیکھے

اسے کہنا ستاروں اور ان کی چال میں کچھ فرق ہوتا ہے

اسے کہنا وہ اپنی گردن بے ساختہ کے آئنے میں مجھ کو مت دیکھے

اسے کہنا وہ اپنی بلیوں کی گردنوں پر ہاتھ رکھ کر مجھ کو مت دیکھے

اسے کہنا محبت اک اکیلی ناؤ ہے

اور آسماں آئینہ برداری کا مجرم ہے

محمد انور خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaise Log Hain

Mohammad Anvar Khalid

ye kaise log hain jo sang-basta jaliyon ki tarah aankhen band rakhte hain
sirhane laDkiyon ke raat ki bikhri kitaben hain
aur un ke KHwab andheron ke darakte rauzanon se
dhaDdhaDati billiyon ki tarah ghar ghar phail jate hain
main sari raat aawazon ka mubham shor sunta hun
aur aankhen band rakhta hun
aur un ke sath ho leta hun jin ka rasta mera muqaddar hai
so ab meri gawahi kaun dega
ki main apni gawahi ke liye zinda nahin hun

wo aise log the jo
dasht-e-be-diwar mein apne safar ka nind se aaghaz karte the
aur un ki ungliyan sahrai sanpon ki tarah un ke badan par rengti thin
aur un ki gardanen TuTi kamanon ki tarah un ke badan par jhulti thin
wo apni paT-khuli aankhon se sote the
wo chalte the to un ki aastinen panw mein aati thin
aur wo ruk ke chalte the
daraKHton mein kahin baiTha rupahli rut ka karinda
samundar samt ka qutbi sitara hai
samundar meri aankhon ka ishaara hai
use kahna wo meri mez par apni hatheli yun jamae mujh ko mat dekhe
use kahna sitaron aur un ki chaal mein kuchh farq hota hai
use kahna wo apni gardan-e-be-saKHta ke aaine mein mujh ko mat dekhe
use kahna wo apni billiyon ki gardanon par hath rakh kar mujh ko mat dekhe
use kahna mohabbat ek akeli naw hai
aur aasman aaina-bardari ka mujrim hai

(501) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaise Log Hain written by Mohammad Anvar Khalid at UrduPoint. Ye Kaise Log Hain is one of the masterpieces written by Mohammad Anvar Khalid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Anvar Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Anvar Khalid' above.

Ye Kaise Log Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Kaise Log Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.