Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya, Urdu Ghazal By Habab Hashmi

Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Habab Hashmi. Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

جب اس سے ترک ملاقات کا ارادہ کیا

حباب ہاشمی

جب اس سے ترک ملاقات کا ارادہ کیا

تب اس نے دامن دل کو ذرا کشادہ کیا

بس اک نگاہ سے اس کی سدا رہے مخمور

کبھی نہ جام اٹھایا نہ شغل بادہ کیا

فریب دے کے بھی اس کا قصور کم ہی رہا

کہ ہم نے اس پہ بھروسہ بھی کچھ زیادہ کیا

شرافت اور نجابت کا اس کو غرہ ہے

حسب نسب سے سوا ذکر خانوادہ کیا

جہان شعر و ادب میں ہمارا ذکر بھی ہے

کہ ہم نے میرؔ سے غالبؔ سے استفادہ کیا

مری غیور طبیعت پہ اس کو حیرت ہے

کہ عرض شوق کا اس سے نہ پھر اعادہ کیا

یہ اور بات کہ ناکامیاں مقدر تھیں

حبابؔ جو بھی کیا ہم نے بالارادہ کیا

حباب ہاشمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya

Habab Hashmi

jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya
tab us ne daman-e-dil ko zara kushada kiya

bas ek nigah se us ki sada rahe maKHmur
kabhi na jam uThaya na shaghl-e-baada kiya

fareb de ke bhi us ka qusur kam hi raha
ki hum ne us pe bharosa bhi kuchh ziyaada kiya

sharafat aur najabat ka is ko gharra hai
hasab nasab se siwa zikr-e-KHanwada kiya

jahan-e-sher-o-adab mein hamara zikr bhi hai
ki hum ne 'mir' se 'ghaalib' se istifada kiya

meri ghayur tabiat pe us ko hairat hai
ki arz-e-shauq ka us se na phir iada kiya

ye aur baat ki nakaamiyan muqaddar thin
'habab' jo bhi kiya hum ne bil-irada kiya

(925) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Habab Hashmi Poetry

سنی سنائی وہ آواز مر ہی جانے دو

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Suni Sunai Wo Aawaz Mar Hi Jaane Do

کہاں وہ سیم تناں ہیں کہاں وہ گل بدناں

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Kahan Wo Sim-tanan Hain Kahan Wo Gul-badnan

امید و بیم کے عالم میں دل دہلتا ہے

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai

اب تلک تند ہواؤں کا اثر باقی ہے

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai

جذبۂ شوق نے یوں داد وفا پائی ہے

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Jazba-e-shauq Ne Yun Dad-e-wafa Pai Hai

جلوہ گر آج ہے وہ مہر منور کی طرح

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Jalwa-gar Aaj Hai Wo Mehr-e-munawwar Ki Tarah

تصور میں بہت کیں انجمن آرائیاں ہم نے

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Tasawwur Mein Bahut Kin Anjuman-araiyan Humne

جب اس سے ترک ملاقات کا ارادہ کیا

Habab Hashmi - حباب ہاشمی

Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya

You can read Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya written by Habab Hashmi at UrduPoint. Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya is one of the masterpieces written by Habab Hashmi. You can also find the complete poetry collection of Habab Hashmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Habab Hashmi' above.

Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Us Se Tark-e-mulaqat Ka Irada Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.