Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh, Urdu Ghazal By Shaghil Usmani

Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaghil Usmani. Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

محدود کر نظر کو نہ تنہا بہار دیکھ

شاغل عثمانی

محدود کر نظر کو نہ تنہا بہار دیکھ

گلشن کے ساتھ ساتھ دل داغدار دیکھ

ہمت نہ ہار گردش لیل و نہار دیکھ

کچھ اور دن ابھی ستم روزگار دیکھ

طوطی کی طرح دیکھ نہ مثل ہزار دیکھ

انسان بن کے نقش و نگار بہار دیکھ

اے نا شناس ہمت انساں ذرا سمجھ

دل کی بساط دیکھ غم روزگار دیکھ

منصور کی زباں سے تو راز خودی سنا

میری جبیں میں جلوۂ حسن نگار دیکھ

برباد کر نہ زندگئ مستعار کو

ملنی نہیں یہ چیز تجھے بار بار دیکھ

اے شہسوار عرصۂ حسن ایک اور وار

ہیں اور بھی کلیم سر رہ گزار دیکھ

اے ہم نشیں کدورت جاناں نہیں گئی

یہ ہے جواب نامۂ بخت غبار دیکھ

وہ میکدہ کھلا وہ مرا مدعا ملا

وہ آ رہا ہے جھوم کے ابر بہار دیکھ

میں تو رہین لذت آزار ہو چکا

اب کوئی اور اے ستم روزگار دیکھ

دل میں مرے جدائیٔ گلشن کے داغ ہیں

لایا ہوں اپنے ساتھ قفس میں بہار دیکھ

کیسی بہار خلد کہاں کا جمال حور

رنگ بیان واعظ پرہیزگار دیکھ

میں جانتا ہوں کس کی ہیں جلوه نمائياں

میری نظر سے شیخ جہان بہار دیکھ

آتش کدہ تمام گلستاں بنا دیا

فصل بہار رنگ نوائے ہزار دیکھ

دامن میں بادہ خوار کے واعظ پناہ لے

محشر میں سینکڑوں ہیں کہیں جا کے یار دیکھ

کیا ہم بھی ہیں کلیم کہ غش کھا کے گر پڑیں

ہاں دیکھ تو ہمیں نگہ شعلہ بار دیکھ

رحمت نثار ہوتی ہے صدقے ہے مغفرت

قسمت تو اپنی اے نگۂ شرمسار دیکھ

کوثر کا میکدہ ہے تو جنت کا گل کدہ

حسن مذاق شاغلؔ پرہیزگار دیکھ

شاغل عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh

Shaghil Usmani

mahdud kar nazar ko na tanha bahaar dekh
gulshan ke sath sath dil-e-dagh-dar dekh

himmat na haar gardish-e-lail-o-nahaar dekh
kuchh aur din abhi sitam-e-rozgar dekh

tuti ki tarah dekh na misl-e-hazar dekh
insan ban ke naqsh-o-nigar-e-bahaar dekh

ai na-shanas himmat-e-insan zara samajh
dil ki bisat dekh gham-e-rozgar dekh

mansur ki zaban se tu raaz-e-KHudi suna
meri jabin mein jalwa-e-husn-e-nigar dekh

barbaad kar na zindagi-e-mustaar ko
milni nahin ye chiz tujhe bar-bar dekh

ai shahsawar-e-arsa-e-husn ek aur war
hain aur bhi kalim sar-e-rahguzar dekh

ai ham-nashin kudurat-e-jaanan nahin gai
ye hai jawab-nama-e-baKHt-e-ghubar dekh

wo mai-kada khula wo mera muddaa mila
wo aa raha hai jhum ke abr-e-bahaar dekh

main to rahin-e-lazzat-e-azar ho chuka
ab koi aur ai sitam-e-rozgar dekh

dil mein mere judai-e-gulshan ke dagh hain
laya hun apne sath qafas mein bahaar dekh

kaisi bahaar-e-KHuld kahan ka jamal-e-hur
rang-e-bayan waiz-e-parhez-gar dekh

main jaanta hun kis ki hain jalwa-numaiyan
meri nazar se shaiKH jahan-e-bahaar dekh

aatish-kada tamam gulistan bana diya
fasl-e-bahaar-rang nawa-e-hazar dekh

daman mein baada-KHwar ke waiz panah le
mahshar mein sainkaDon hain kahin ja ke yar dekh

kya hum bhi hain kalim ki ghash kha ke gir paDen
han dekh to hamein nigah-e-shoala-bar dekh

rahmat nisar hoti hai sadqe hai maghfirat
qismat to apni ai nigah-e-sharmsar dekh

kausar ka mai-kada hai to jannat ka gul-kada
husn-e-mazaq 'shaghil'-e-parhez-gar dekh

(292) ووٹ وصول ہوئے

More Shaghil Usmani Poetry

ذکر وفا پہ کہتے ہیں تیری وفا ہے کیا

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Zikr-e-wafa Pe Kahte Hain Teri Wafa Hai Kya

وہ وفا کو جفا سمجھتے ہیں

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Wo Wafa Ko Jafa Samajhte Hain

محدود کر نظر کو نہ تنہا بہار دیکھ

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh

نہیں ہوتا عبور بحر غم آساں نہیں ہوتا

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Nahin Hota Ubur-e-bahr-e-gham Aasan Nahin Hota

عشق صادق ہو تو خوددار نما ہوتا ہے

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Ishq Sadiq Ho To Khuddar-numa Hota Hai

چمک میں برق نہیں ضو میں آفتاب نہیں

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Chamak Mein Barq Nahin Zau Mein Aaftab Nahin

جلوؤں کی ترے لائے کوئی تاب کہاں تک

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

Jalwon Ki Tere Lae Koi Tab Kahan Tak

بت خانہ سنگ راہ ہے جس کوئے یار کا

Shaghil Usmani - شاغل عثمانی

But-khana Sang-e-rah Hai Jis Ku-e-yar Ka

You can read Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh written by Shaghil Usmani at UrduPoint. Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh is one of the masterpieces written by Shaghil Usmani. You can also find the complete poetry collection of Shaghil Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaghil Usmani' above.

Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mahdud Kar Nazar Ko Na Tanha Bahaar Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.