Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye, Urdu Ghazal By Sapna Ehsas

Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sapna Ehsas. Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

میں نہیں کہتی مجھے کوئی خزانہ چاہیئے

سپنا احساس

میں نہیں کہتی مجھے کوئی خزانہ چاہیئے

التجا اتنی ہے الفت جاودانہ چاہیئے

عیش و عشرت کے بنا بھی کام چل سکتا ہے جی

چھت تو سب کو چاہیئے اور آب و دانا چاہیئے

عشق میرا جس میں مہکے اے مرے رب کریم

مجھ کو جنت سے الگ وہ آشیانا چاہیئے

اس شکایت کو مری تو دور کر سکتا ہے کیا

وقت تیرا چاہیئے اور والہانہ چاہیئے

رب کو پانے کی جو حسرت ہے تو اس کے واسطے

دل نظر اور بے نیازی عارفانہ چاہیئے

ہم سفر مانگا تھا میں نے غم دئے تو نے مجھے

اب طلب یہ ہے کے غم کا اک زمانہ چاہیئے

دل نظر کیا روح تک رنگ تصوف چھا گیا

اب غزل بھی مجھ کو مولیٰ صوفیانہ چاہیئے

ہجر تیرا دے ہی دے گا موت اک دن سپناؔ کو

زندگی جینے کا لیکن اک بہانہ چاہیئے

سپنا احساس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye

Sapna Ehsas

main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye
iltija itni hai ulfat jawedana chahiye

aish-o-ishrat ke bina bhi kaam chal sakta hai ji
chhat to sab ko chahiye aur aab-o-dana chahiye

ishq mera jis mein mahke ai mere rabb-e-karim
mujh ko jannat se alag wo aashiyana chahiye

is shikayat ko meri tu dur kar sakta hai kya
waqt tera chahiye aur walihana chahiye

rab ko pane ki jo hasrat hai to is ke waste
dil nazar aur be-niyazi aarifana chahiye

ham-safar manga tha main ne gham diye tu ne mujhe
ab talab ye hai ke gham ka ek zamana chahiye

dil nazar kya ruh tak rang-e-tasawwuf chha gaya
ab ghazal bhi mujh ko maula sufiyana chahiye

hijr tera de hi dega maut ek din 'sapna' ko
zindagi jine ka lekin ek bahana chahiye

(487) ووٹ وصول ہوئے

You can read Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye written by Sapna Ehsas at UrduPoint. Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye is one of the masterpieces written by Sapna Ehsas. You can also find the complete poetry collection of Sapna Ehsas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sapna Ehsas' above.

Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Nahin Kahti Mujhe Koi KHazana Chahiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.