Diyanat-dar LaDki, Urdu Nazam By Nishtar Jalandhari

Diyanat-dar LaDki is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nishtar Jalandhari. Diyanat-dar LaDki comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Diyanat-dar LaDki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

دیانت دار لڑکی

نشتر جالندھری

غریب آدمی ایک قصبے میں تھا

بہت دل میں رکھتا تھا خوف خدا

غریبی میں ایمان داری میں بھی

نہ قصبے میں تھا اس سے بڑھ کر کوئی

اکیلا نہ تھا بیوی بچے بھی تھے

جو تھے سب کے سب نیک خصلت بڑے

سہانا سماں دن تھا اتوار کا

کہ اک چھوٹی لڑکی سے ماں نے کہا

اٹھو لاؤ آٹا کہ روٹی پکاؤں

بلکتے ہیں بچے انہیں کچھ کھلاؤں

گئی لڑکی آٹا لیا آ گئی

لگی گوندھنے ماں تو گھبرا گئی

کہ آٹے میں دو بالیاں تھیں پڑی

ہر اک سبز کاغذ میں لپٹی ہوئی

کھرے سونے کی کام باریک تھا

وہ تھیں دیکھنے میں بہت خوش نما

جو لڑکی نے دیکھیں تو جھٹ بول اٹھی

یقیناً یہ ہوں گی دکاں دار کی

ابھی دیجئے کر دوں واپس اسے

یہ آٹے میں رکھی گئیں بھول سے

دکاں دار کے پاس لڑکی گئی

کہا یہ تو ہیں بالیاں آپ کی

ملی ہیں یہ آٹے سے لے لیجئے

کہ بوری میں شاید گریں آپ سے

دکاں دار بولا اٹھا لو تمہیں

سنو ان کا قصہ یہ میری نہیں

یہاں ایک آیا امیر آدمی

مجھے بالیاں دیں ہدایت یہ کی

یہ دینا کسی سخت محتاج کو

دیانت میں بھی سب سے بڑھ کر جو ہو

یہ باتیں تمہیں میں ہیں لو بس اٹھاؤ

تمہاری ہیں یہ بالیاں لے بھی جاؤ

گھر آئی جو لڑکی لیے بالیاں

سنا قصہ حیراں ہوئی سخت ماں

دیانت سے ہوتا ہے راضی خدا

دیانت کا لڑکی کو یہ پھل ملا

نشتر جالندھری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diyanat-dar LaDki

Nishtar Jalandhari

gharib aadmi ek qasbe mein tha
bahut dil mein rakhta tha KHauf-e-KHuda
gharibi mein iman-dari mein bhi
na qasbe mein tha us se baDh kar koi
akela na tha biwi bachche bhi the
jo the sab ke sab nek KHaslat baDe
suhana saman din tha itwar ka
ki ek chhoTi laDki se man ne kaha
uTho lao aaTa ki roTi pakaun
bilakte hain bachche inhen kuchh khilaun
gai laDki aaTa liya aa gai
lagi gundhne man to ghabra gai
ki aaTe mein do baaliyan thin paDi
har ek sabz kaghaz mein lipTi hui
khare sone ki kaam barik tha
wo thin dekhne mein bahut KHushnuma
jo laDki ne dekhin to jhaT bol uThi
yaqinan ye hongi dukan-dar ki
abhi dijiye kar dun wapas ise
ye aaTe mein rakkhi gain bhul se
dukan-dar ke pas laDki gai
kaha ye to hain baaliyan aap ki
mili hain ye aaTe se le lijiye
ki bori mein shayad girin aap se
dukan-dar bola uTha lo tumhin
suno in ka qissa ye meri nahin
yahan ek aaya amir aadmi
mujhe baaliyan din hidayat ye ki
ye dena kisi saKHt muhtaj ko
diyanat mein bhi sab se baDh kar jo ho
ye baaten tumhin mein hain lo bas uThao
tumhaari hain ye baaliyan le bhi jao
ghar aai jo laDki liye baaliyan
suna qissa hairan hui saKHt man
diyanat se hota hai raazi KHuda
diyanat ka laDki ko ye phal mila

(746) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Diyanat-dar LaDki written by Nishtar Jalandhari at UrduPoint. Diyanat-dar LaDki is one of the masterpieces written by Nishtar Jalandhari. You can also find the complete poetry collection of Nishtar Jalandhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nishtar Jalandhari' above.

Diyanat-dar LaDki is a widely read Urdu Nazam. If you like Diyanat-dar LaDki, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.