KHwab-e-bedari, Urdu Nazam By Khawar Naqeeb

KHwab-e-bedari is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khawar Naqeeb. KHwab-e-bedari comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read KHwab-e-bedari on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

خواب بیداری

خاور نقیب

کون ہے وہ

جو گزرتا ہے فقط آنکھوں سے ہو کر

آبنائے ذہن کی لہروں کو چھوتا

اسپ آبی اور ستارہ مچھلیوں کو

سات رنگوں کی قبائے خواب دیتا

پھیل جاتا ہے وہ میرے سوچ ساگر کی تہوں میں

کون ہے وہ

جو مری شب ریز آنکھوں کو

مجازی جال میں الجھا رہا ہے

منظروں سے سچ کی موسیقی چرا کر

منظروں کی روح کو بے رنگ کر دیتا ہے کوئی

کون ہے وہ جو مسلسل

چاہ ظلمت کی کگاروں کے عقب سے

ہانک لاتا ہے

عجب چر مر سے خوابوں کے

اپاہج ریوڑوں کو

سوچتا ہوں

مدتوں سے خواب بیداری کا صحرا

جو مری آنکھوں میں ڈھیروں ریت بھرتا جا رہا ہے

کون سا جذبہ ہے اس میں کار فرما

کس لیے وہ

منظروں سے چھنتی آوازوں کو

اپنی پیاس کی رستی انگیٹھی میں

مسلسل جھونکتا ہے

پر ابھی آنکھوں کے پیچھے

سیکڑوں آنکھیں ہیں روشن

سچی آنکھوں والے ناظر

آب خوروں سے طلوع فہم کا ارفع کرشمہ دیکھتے ہیں

رنگ برنگے پانیوں کی لب کشائی

دائروں کی شکل میں جب پھیلتی ہے

سچی آنکھوں والے ناظر دیکھتے ہیں

سامنے کچھ بھی نہیں ہے

وہ نہیں میں بھی نہیں

کوئی نہیں

کوئی نہیں بس

دور تک پھیلا ہوا

کافور کا اک آسماں ہے

خاور نقیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab-e-bedari

Khawar Naqeeb

kaun hai wo
jo guzarta hai faqat aankhon se ho kar
aabna-e-zehn ki lahron ko chhuta
asp-e-abi aur sitara machhliyon ko
sat rangon ki qaba-e-KHwab deta
phail jata hai wo mere soch-sagar ki tahon mein
kaun hai wo
jo meri shab-rez aankhon ko
majazi jal mein uljha raha hai
manzaron se sach ki mausiqi chura kar
manzaron ki ruh ko be-rang kar deta hai koi
kaun hai wo jo musalsal
chah-e-zulmat ki kagaron ke aqab se
hank lata hai
ajab chur-mur se KHwabon ke
apahij rewDon ko
sochta hun
muddaton se KHwab-e-bedari ka sahra
jo meri aankhon mein Dheron ret bharta ja raha hai
kaun sa jazba hai us mein kar-farma
kis liye wo
manzaron se chhanti aawazon ko
apni pyas ki risti angiThi mein
musalsal jhonkta hai
par abhi aankhon ke pichhe
saikDon aankhen hain raushan
sachchi aankhon wale nazir
aab-KHoron se tulua-e-fahm ka arfa karishma dekhte hain
rang-birange paniyon ki lab-kushai
daeron ki shakl mein jab phailti hai
sachchi aankhon wale nazir dekhte hain
samne kuchh bhi nahin hai
wo nahin main bhi nahin
koi nahin
koi nahin bas
dur tak phaila hua
kafur ka ek aasman hai

(637) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab-e-bedari written by Khawar Naqeeb at UrduPoint. KHwab-e-bedari is one of the masterpieces written by Khawar Naqeeb. You can also find the complete poetry collection of Khawar Naqeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawar Naqeeb' above.

KHwab-e-bedari is a widely read Urdu Nazam. If you like KHwab-e-bedari, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.