Shair Ki Duniya, Urdu Nazam By Ameer Aurangabadi

Shair Ki Duniya is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ameer Aurangabadi. Shair Ki Duniya comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Shair Ki Duniya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem
'; document.getElementById("div-gpt-ad-outstream-wrap").innerHTML = '
'; document.getElementById("div-gpt-ad-1x1-wrap").innerHTML = '
'; googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-outstream"); }); googletag.cmd.push(function() { googletag.display("div-gpt-ad-1x1"); });

شاعر کی دنیا

امیر اورنگ آبادی

ہوتا ہوں جب میں تنہا یہ سوچتا ہوں اکثر

آبادیاں ہیں اچھی یا جنگلوں کے منظر

شاعر ہوں میں مرا ہو مسکن الگ جہاں سے

شہروں کے شور و غل سے تاریک آسماں سے

سائے میں پیڑ کے میں بستر لگاؤں اپنا

ٹھنڈی ہوا ہو آتی بہتا ہو صاف دریا

رنگینیاں شفق کی دل کو مرے لبھائیں

شمس و قمر جہاں کے قصے نئے سنائیں

قدرت کا ہم زباں ہوں اور اس کے بھید پاؤں

گہرائیوں میں اس کی گویا اتر میں جاؤں

2

پر عقل کا ہے کہنا یہ سب غلط ہے ناداں

گونگی ہے تیری قدرت منظر ہیں اس کے بے جاں

بیکار ہے اگر تو دشت و جبل بسائے

بے صرفہ ہے اگر تو ہمدم انہیں بنائے

شاعر تجھے ہیں کہتے ہے عشق تیرا جینا

فطرت ہے پاک تیری ہے قلب طور سینا

تو نور سرمدی کی ہے جھلکیاں دکھاتا

انساں کو آسماں کی سیریں ہے تو کراتا

تیرا قلم جہاں میں ہلچل سی ڈالتا ہے

ڈوبے ابھارتا ہے گرتے سنبھالتا ہے

3

پر کیوں تجھے اے شاعر بستی سے ہے کدورت

آبادیوں میں پل کر آبادیوں سے نفرت

انساں اور اس کی فطرت پرکھی نہیں ہے تو نے

عالم اور اس کی وسعت پائی نہیں ہے تو نے

ماتم کہیں بپا ہے خوشیاں کہیں ہیں ہوتی

اقبال ہے کہیں تو قسمت کہیں ہے سوتی

جو اک طرف قضا کے طوفان آ رہے ہیں

تو اک طرف سحاب رحمت بھی چھا رہے ہیں

تیرا ہے رتبہ عالی اس بزم زندگی میں

آ آ شریک ہو جا اس رزم زندگی میں

آلام کو گھٹا دے آسائشیں بڑھا دے

شمع سخن جلا کر سب ظلمتیں ہٹا دے

آ کب سے منتظر ہے آدم کا یہ گھرانا

آباد اس میں ہو جا تیری یہی ہے دنیا

امیر اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shair Ki Duniya

Ameer Aurangabadi

hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar
aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar
shair hun main mera ho maskan alag jahan se
shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se
sae mein peD ke main bistar lagaun apna
ThanDi hawa ho aati bahta ho saf dariya
ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen
shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen
qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun
gahraiyon mein us ki goya utar main jaun
2
par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan
gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan
be-kar hai agar to dasht-o-jabal basae
be-sarfa hai agar to hamdam unhen banae
shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina
fitrat hai pak teri hai qalb-e-tur-e-sina
tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata
insan ko aasman ki sairen hai to karaata
tera qalam jahan mein halchal si Dalta hai
Dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai
3
par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat
aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat
insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne
aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne
matam kahin bapa hai KHushiyan kahin hain hoti
iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti
jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain
tu ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain
tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein
aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein
aalam ko ghaTa de aasaishen baDha de
sham-e-suKHan jala kar sab zulmaten haTa de
aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana
aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya

(835) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shair Ki Duniya written by Ameer Aurangabadi at UrduPoint. Shair Ki Duniya is one of the masterpieces written by Ameer Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Ameer Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Aurangabadi' above.

Shair Ki Duniya is a widely read Urdu Nazam. If you like Shair Ki Duniya, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.